<%.'.GHAZAL.'.%>
Yahan pal pal jalna parta hai,
Yahan pal pal jalna parta hai,
Har rang mein dhalna parta hai,
Har morr pe thokar lagti hai,
Har haal mein chalna parta hai,
Har dil ko samajhaney ki khatir,
Bus khud se larna parta hai,
Kabhi khud ko khona parta hai,
Kabhi chup k rona parta hai,
Kabhi neend na aaye phoolon pe,
Kabhi Kaanton pe sona parta hai,
Kabhi marr k jeena parta hai,
Kabhi jee k marna parta hai,
Kabhi to khushiyan lout k aain gi,
Is aas pe jeena parta hai.
No comments:
Post a Comment