Tuesday, 12 August 2014

Qaid e meharban tera ghar baich dain

Paik e umeed zook e safar baich dain
Jazb o ehsaas qalb o nazar baich dain
Jis me soda ho tera wo sar baich dain
Ab irada yeh ha bam o dar baich dain

Qaid e meharban tera ghar baich dain

Nasha hurmat e jaan utrany laga
Yani sheraza gham bikharny laga
Ab to ankhon ka pani bhi marny laga
Kyo na ab yeh mataah hunar baich dain

Qaid e meharban tera ghar baich dain

Jo laho tha kabhi ab wo pani hua
Jazba shauk o ulfay kahani hua
Har wo manzar jo teri nishani hua
Us nazary ky sham o sahar baich dain

Qaid e meharban tera ghar baich dain

Qatal jazb o yakeen aam hony ko ha
Phir yeh kundan me khaam hony ko ha
Haan tera ghar nelaam hony ko ha
Zok e parwaaz aur bal o par baich dain

Qaid e meharban tera ghar baich dain

Tery sad o safa ko saza yun b dain
Atish e jaan o dil ko hawa yun b dain
Apni gairat ka ab to pata yun b dain
Teri koshish ka kyo na samar baich dain

Qaid e meharban tera ghar baich dain

Jazba ishaq phir na shar bar ho
Jada o pemana phir koi na rahwar ho
Na koi shajar phir samar bar ho
Tera har naqsh har rehguzar baich dain

Qaid e meharban tera ghar baich dain

Koi gairat sharafat hameeyat nahi
Koi sharmindagi aur nadamat nahi
Ab yeh koi muqaam e khjalat nahi
Khaak e marqaad ko teri ham agar baich dain

Qaid e meharban tera ghar baich dain

Muhammad Shafi (Sabir)

No comments:

Post a Comment